Friday, December 17, 2010

Jiski dhun par duniya naache


JISKI DHUN PER DUNIYA NAACHE,DIL AISA EK TAARA HAI,
JO HUM KO BHI PYARA HAI AUR,JO TUM KO BHI PYARA HAI,
JHOOM RAHI HAI SARI DUNIYA,JABKI HAMARE GEETON PER,
TAB KETHI HO PYAR HUA HAI,KYA EAHSAN TUMHARA HAI,

JO DHART SE AMBER JODE,USKA NAAM MOHABBAT HAI,
JO SEESHE SE PATTHAR TODE,USKA NAAM MOHABBAT HAI,
KATRA KATRA SAGAR TAK TOH,JATI HAI HAR UMAR MAGAR,
BETHA DAYIYA WAPAS MOODE,USKA NAAM MOHABBAT HAI,

PANHAON MAI JO AAYA HO,TOH USS PER WAR KYA KARNA?
JO DIL HARA HUA HO,USS PE FIR ADHIKAR KYA KARNA?
MOHABBAT KA MAJA TO DOOBNE KII KASMKASH MAI HAI,
JO HO MALOOM GEHRAI,TOH DARIYA PAR KYA KARNA?

BASTI BASTI GHOR UDASI PARVAT PARVAT KHALIPANN,
MAN HEERA BEMOL BIKK GAYA GHISS GHISS REETA TANN CHANDAN,
ISS DHARTI SE USS AMBER TAK DOO HI CHEEJ GAJAB KI HAI,
EK TOH TERA BHOLAPANN HAI EK MERA DEEWANAPAN.

TUMHARE PASS HU LEKIN JO DURI HAI SAMAJTA HU,
TUMHARE BIN MERI HASTI ADHURI HAI SAMAJTA HU,
TUMHE MAI BHOOL JAUNGA YE MUMKIN NAI LAKIN,
TUMHE KO BHULNA SAB SE JARURI HAI SAMAJTA HU,

No comments:

Post a Comment